Sunday 25 November 2012

Must Read : quick management by the DOG in Hindi

Ek din ek kutta jungle main raasta bhul gaya
.
Tabhi usane dekha ek sher uskii taraf
aa raha hai.
Kutte ki saans rook gayi.. "Aaj to kaam
tamaam mera !" usne socha.
Phir usne saamane kuchh sookhi haddiyan padi dekhi.
Woh aate hue sher ki taraf peethkar ke baith gaya aur ek sookhi hadii ko choosane laga aur zor zor se bolne laga,
"Wah! Sher ko khaane ka maza hi
kuchh aur hai.

Ek aur mil jaaye ...to poori daawatho jayegi!"
Aur usne zor se dakaar mara.
Is bar sher sakate mein aa gayaa.
Usne Socha
"ye kutta to sher ka shikar karta hai!
Jaan bacha kara bhago!" Aur sher
wahan se champat ho gaya .
Ped par baitha ek Bandar yeh sab
tamasha dekh raha tha.
Usne socha yeh mauka achha hai sher ko sari kahani bata deta hoon - sher se dosti ho jayegi aur usase zindagi bhar ke liye jaan ka khatra dur ho jayega.
Wo phataphat sher ke pichhe bhaga.
Kutte ne Bandar ko jaate hue dekh liya aur samajh gayaki koi locha hai.
Udhar Bandar ne sher ko sab bata diya ki kaise
kutte ne use bewakoof banaya hai.
Sher zor se dahada, "chal mere saath
abhi uski leela khatam karta hoon" aur Bandar ko apni peeth par baitha kar sher kutte ki taraf lapka.

Can u imagine the quick management
by the DOG...

Kutte ne sher ko aate dekha to ek bar phir uskii taraf peeth karke baith gaya aur zor zor se bolne laga, "Is Bandar ko
bhej ke 1 ghanta ho gaya , saala ek
sher phaans kar nahi la sakta!"

Moral of the story : FACE THE SITUATION

No comments:

Post a Comment